dekhte  dekhte  hī  saal  guzar  jaatā  hai
par  tirā  ġham  hai  ki  baḌhtā  hai  Thahar  jaatā  hai
tairtī  rahtī  hai  āñkhoñ  meñ  tū  har  shab  aise
jaise  dariyā  meñ  koī  chāñd  utar  jaatā  hai
kaun  us  ḳhvāb  kī  ta.abīr  pe  kartā  hai  yaqīñ
ḳhvāb  jo  niiñd  se  laḌtā  huā  mar  jaatā  hai
ham  ne  āñkhoñ  kī  zabānoñ  pe  lagā.e  haiñ  qufl
varna  dil  terī  hī  āvāzoñ  se  bhar  jaatā  hai
phir  se  duniyā  kī  taraf  dhyān  lagāyā  hai  magar
ḳhaak  itne  meñ  tirā  dil  se  asar  jaatā  hai