nasheb-e-hijr  meñ  din  iḳhtitām  karte  hue
maiñ  ḳhud  meñ  Dūbtā  jaatā  thā  shaam  karte  hue
har  ek  lahr  hai  apne  isī  bahāo  meñ
maiñ  thak  gayā  tire  dariyā  ko  raam  karte  hue
baras  paḌā  jo  kisī  roz  mujh  pe  aks  mirā
darūn-e-ā.ina-ḳhāna  qayām  karte  hue
mire  sukūt  ko  dohrāne  vaale  ye  dar-o-bām
sunā.ī  dene  lage  haiñ  kalām  karte  hue
tamām-umr  tirī  rahguzar  pe  baiTh  rahā
mirā  ġhubār  tirā  ehtirām  karte  hue
ye  ḳhāmushī  hai  to  rukiye  baġhaur  sunte  hue
suḳhanvarī  hai  to  chaliye  tamām  karte  hue
gurez-pā.ī  kī  had  se  guzar  gayā  thā  vo  shaḳhs
'na.īm'  duur  se  mujh  ko  salām  karte  hue