misāl-e-mauja-e-ḳhusbū  bikhar  ga.e  mire  din
guzar  ga.iiñ  mirī  rāteñ  guzar  ga.e  mire  din
duā-e-nīm-shabī  be-asar  ga.ī  merī
tumhāre  hote  hue  be-samar  ga.e  mire  din
javāb  arz-o-samā  se  na  ban  paḌā  koī
maiñ  un  se  pūchh  rahā  thā  kidhar  ga.e  mire  din
bas  ek  baar  mohabbat  se  dil  huā  ḳhālī
phir  us  ke  ba.ad  udāsī  se  bhar  ga.e  mire  din
maiñ  mubtalā-e-ġham-e-raftagāñ  huā  aisā
mujhe  ḳhabar  na  hue  aur  mar  ga.e  mire  din
yahī  malāl  mujhe  sub.h-o-shām  lāhaq  hai
mire  sabāt  se  kaise  mukar  ga.e  mire  din
vafūr-e-hijr  hadoñ  se  guzar  gayā  thā  'na.īm'
mujhī  pe  dekhiye  ilzām  dhar  ga.e  mire  din