yuuñ  bhī  jab  tak  ġham  se  mar  nahīñ  jaatā  maiñ
raat  ga.e  tak  lauT  ke  ghar  nahīñ  jaatā  maiñ
dekhtā  rahtā  huuñ  tujh  ko  us  lamhe  tak!
jab  tak  saarā  dard  se  bhar  nahīñ  jaatā  maiñ
utnī  der  sameTūñ  saare  dukh  tere
jitnī  der  ai  dost  bikhar  nahīñ  jaatā  maiñ
tere  ġham  kā  bojh  uThā.ūñgā  jab  tak
koh-e-ġham  se  paar  utar  nahīñ  jaatā  maiñ
maut  se  aage  tak  ke  manzar  dekhe  haiñ
tanhā.ī  se  yūñhī  Dar  nahīñ  jaatā  maiñ
'na.īm'  us  se  maiñ  apne  saare  dukh  kahne
sochtā  to  rahtā  huuñ  par  nahīñ  jaatā  maiñ