kahīñ  pe  rukte  hue  aur  kahīñ  guzarte  hue
ḳhajil  to  ḳhuub  hue  nāzirīñ  guzarte  hue
maiñ  ik  nigāh  kī  duurī  pe  īstāda  thā
guzarne  vaale  ne  dekhā  nahīñ  guzarte  hue
tirī  havā.eñ  ki  jaanā  thā  aur  samt  unheñ
mire  navāh  meñ  ruk  sī  ga.iiñ  guzarte  hue
maiñ  sab  se  pahle  jise  bhūlne  meñ  jaldī  kī
vo  yaad  aayā  dam-e-āḳhrīñ  guzarte  hue
guzar  na  jaa.e  bashārat  kī  sā.at-e-avval
zarā  sī  der  rukeñ  zā.erīñ  guzarte  hue