yuuñ  sañg-e-intizār  se  kab  tak  bañdhe  raheñ
dīvār-e-nā-rasā.ī  hī  kyuuñ  dekhte  raheñ
guzre  na  koī  zūd-farāmosh  umr-bhar
aur  be-sabab  galī  ke  darīche  khule  raheñ
tum  se  gila-guzār  hai  apnī  ye  be-gharī
kab  tak  tumhāre  ḳhvāb  se  bāhar  paḌe  raheñ
hālat  vahī  hai  aaj  bhī  ham  sañg-o-ḳhisht  kī
rakh  de  koī  jahāñ  pe  vahīñ  par  dhare  raheñ
yūñhī  khaḌe  raheñ  kisī  manzil  kī  aas  meñ
gard-e-malāl-e-hijr  se  raste  aTe  raheñ
pūchhe  mire  masīhā-nafas  se  koī  'na.īm'
tāq-e-badan  meñ  zaḳhm  kahāñ  tak  jale  raheñ