guzre  vaqt  kī  shāyad  tujhe  ḳhabar  kam  hai
mire  safar  meñ  koī  tujh  sā  ham-safar  kam  hai
gilā  muaaf  magar  maiñ  jahāñ  paḌā  huā  huuñ
mire  charāġh  tirī  raushnī  udhar  kam  hai
sharīk-e-hāl  huī  thī  jahāñ  kahīñ  duniyā
faqat  vahīñ  se  tirā  hijr-e-mo'atabar  kam  hai
ga.ī  rutoñ  meñ  bahut  guftugū  rahī  jis  se
bhare  chaman  meñ  vo  bas  ek  hī  shajar  kam  hai
tirī  nazar  meñ  na  hoñgī  vo  muntazir  sham.eñ
ki  dil-galī  se  to  yuuñ  bhī  tirā  guzar  kam  hai
badan  se  aage  jo  baḌhtā  nahīñ  tabīb  mire
so  dil  ke  zaḳhm  kī  jānib  tirī  nazar  kam  hai