jo  ḳhvāb  meñ  huā  thā  vāqa.ī  na  ho
ki  maiñ  pukārtā  rahūñ  koī  na  ho
charāġh  be-sabab  to  ro  nahīñ  rahe
jo  shab  guzar  rahī  hai  āḳhirī  na  ho
jise  sukūt-e-marg  kā  nishāñ  kaheñ
ye  ḳhāmushī  kahīñ  vo  ḳhāmushī  na  ho
paḌī  huī  hai  gard  sī  jo  vaqt  par
ye  chashm-e-ḳhvāb-zād  se  girī  na  ho
mujhe  ye  hukm  bhī  sunā  diyā  gayā
ki  naav  meñ  mire  sivā  koī  na  ho
yaqīñ  bharī-bahār  kā  bhī  kuchh  nahīñ
agar  ye  shāḳh-e-dard  hī  harī  na  ho
mirā  mo.āmla  'na.īm'  aur  hai
agar  tirī  nazar  meñ  sarsarī  na  ho