ḳhalq  kahtī  hai  jise  dil  tire  dīvāne  kā
ek  gosha  hai  ye  duniyā  isī  vīrāne  kā
ik  muamma  hai  samajhne  kā  na  samjhāne  kā
zindagī  kaahe  ko  hai  ḳhvāb  hai  dīvāne  kā
husn  hai  zaat  mirī  ishq  sifat  hai  merī
huuñ  to  maiñ  sham.a  magar  bhes  hai  parvāne  kā
ka.abe  ko  dil  kī  ziyārat  ke  liye  jaatā  huuñ
āstāna  hai  haram  mere  sanam-ḳhāne  kā
muḳhtasar  qissa-e-ġham  ye  hai  ki  dil  rakhtā  huuñ
rāz-e-kaunain  ḳhulāsa  hai  is  afsāne  kā
zindagī  bhī  to  pashemāñ  hai  yahāñ  lā  ke  mujhe
DhūñDtī  hai  koī  hiila  mire  mar  jaane  kā
tum  ne  dekhā  hai  kabhī  ghar  ko  badalte  hue  rañg
aao  dekho  na  tamāshā  mire  ġham-ḳhāne  kā
ab  ise  daar  pe  le  jā  ke  sulā  de  saaqī
yuuñ  bahaknā  nahīñ  achchhā  tire  mastāne  kā
dil  se  pahuñchī  to  haiñ  āñkhoñ  meñ  lahū  kī  būñdeñ
silsila  shīshe  se  miltā  to  hai  paimāne  kā
haDDiyāñ  haiñ  ka.ī  lipTī  huī  zanjīroñ  meñ
liye  jaate  haiñ  janāza  tire  dīvāne  kā
vahdat-e-husn  ke  jalvoñ  kī  ye  kasrat  ai  ishq
dil  ke  har  zarre  meñ  aalam  hai  parī-ḳhāne  kā
chashm-e-sāqī  asar-e-mai  se  nahīñ  hai  gul-rañg
dil  mire  ḳhuun  se  labrez  hai  paimāne  kā
lauh  dil  ko  ġham-e-ulfat  ko  qalam  kahte  haiñ
kun  hai  andāz-e-raqam  husn  ke  afsāne  kā
ham  ne  chhānī  haiñ  bahut  dair  o  haram  kī  galiyāñ
kahīñ  paayā  na  Thikānā  tire  dīvāne  kā
kis  kī  āñkheñ  dam-e-āḳhir  mujhe  yaad  aa.ī  haiñ
dil  muraqqa.a  hai  chhalakte  hue  paimāne  kā
kahte  haiñ  kyā  hī  maze  kā  hai  fasāna  'fānī'
aap  kī  jaan  se  duur  aap  ke  mar  jaane  kā
har  nafas  umr-e-guzishta  kī  hai  mayyat  'fānī'
zindagī  naam  hai  mar  mar  ke  jiye  jaane  kā