had  se  baḌhtī  huī  ta.azīr  meñ  dekhā  jaa.e
ḳhvāb  ko  ḳhvāb  kī  ta.abīr  meñ  dekhā  jaa.e
dekhne  ko  maiñ  faqat  itnā  bachā  huuñ  ya.anī
mujh  ko  ik  manzar-e-tasvīr  meñ  dekhā  jaa.e
khul  bhī  saktā  hai  jahāñ  par  mirā  andāz-e-junūñ
zaḳhm  jo  halqa-e-zanjīr  meñ  dekhā  jaa.e
sabr  bhī  jis  ke  nishāne  pe  hai  aur  siina  bhī
hausla  kitnā  hai  us  tiir  meñ  dekhā  jaa.e
is  qadar  dīda-e-giryāñ  kā  to  haq  bantā  hai
ab  use  nāla-e-shab-gīr  meñ  dekhā  jaa.e
tab  kahīñ  dard  utartā  hai  rag-o-pai  meñ  'na.īm'
sher  jab  'mīr'  kī  tāsīr  meñ  dekhā  jaa.e