maiñ  kis  se  pūchhtā  ki  bhalā  kyā  kamī  huī
thā  shor  jis  galī  meñ  vahāñ  ḳhāmushī  huī
ik  maiñ  hī  to  nahīñ  huuñ  pareshān-o-pur-malāl
ai  shaam  tere  saath  bhī  ab  ke  baḌī  huī
mahfūz  kar  na  pā.eñge  dīvār-o-bām-o-dar
merī  fuġhāñ  huī  ki  vo  terī  hañsī  huī
dīvār-e-jāñ  girā  ke  hī  niklegī  yād-e-yār
ek  meḳh  jaise  dil  ke  hai  andar  gaḌhī  huī
khultī  hī  jā  rahī  hai  girāñbārī-e-junūñ
zanjīr  kyā  hai  paañv  se  mere  bañdhī  huī
ab  dekhiye  to  kyā  ye  vahī  chashm  hai  'na.īm'
zambīl  thī  ki  ḳhvāboñ  se  koī  bharī  huī