bārhā  bas  mujhe  yuuñ  lagtā  hai
hai  koī  jo  mujhe  hī  taktā  hai
ḳhvāb  rātoñ  meñ  ḳhvāb  meñ  aa  kar
ḳhvāb  kī  hī  tarah  bikhartā  hai
raushnā.ī  nigal  gayā  thā  jo
saaya  vo  āñkhoñ  meñ  khaTaktā  hai
din  ke  sannāTe  meñ  qarīb  aa  kar
ramz  peshānī  par  Tahaltā  hai
ai  zamīñ  pyāsī  hī  rahegī  tū
āsmāñ  se  dhuāñ  barastā  hai
koī  bū  ḳhaak  kar  ga.ī  shāyad
dekh  phūloñ  ko  jī  machaltā  hai
ġham-talab  kab  talak  rahe  koī
ab  lahū  āñkhoñ  se  Tapaktā  hai