be-ajal  kaam  na  apnā  kisī  unvāñ  niklā
dam  to  niklā  magar  āzurda-e-ehsāñ  niklā
aa  ga.ī  hai  tire  bīmār  ke  muñh  par  raunaq
jaan  kyā  jism  se  niklī  koī  armāñ  niklā
dil-e-āgāh  se  kyā  kyā  hameñ  ummīdeñ  thiiñ
vo  bhī  qismat  se  charāġh-e-tah-e-dāmāñ  niklā
dil  bhī  thā  muñh  se  bas  ik  aah  nikal  jaane  tak
aag  siine  meñ  lagā  kar  ġham-e-pinhāñ  niklā
chārāgar  nāseh-e-mushfiq  dil-e-be-sabr-o-qarār
jo  milā  ishq  meñ  ġham-ḳhvār  vo  nādāñ  niklā
shikva  manzūr  nahīñ  tazkira-e-ishq  na  chheḌ
ki  vo  dar-parda  mirā  hāl-e-pareshāñ  niklā
bijliyāñ  shāḳh-e-nasheman  pe  bichhī  jaatī  hai
kyā  nasheman  se  koī  soḳhta-sāmāñ  niklā
ab  junūñ  se  bhī  tavaqqo  nahīñ  āzādī  kī
chāk-e-dāmāñ  bhī  ba-andāza-e-dāmāñ  niklā
haa.e  vo  vāda-e-fardā  kī  madad  vaqt-e-aḳhīr
haa.e  vo  matlab-e-dushvār  ki  āsāñ  niklā
shauq-e-betāb  kā  anjām  tahayyur  paayā
dil  samajhte  the  jise  dīda-e-hairāñ  niklā
us  ne  kyā  sīna-e-sad-chāk  se  khīñchā  'fānī'
dil  maiñ  kahtā  huuñ  vo  kahtā  hai  ki  paikāñ  niklā