Raza Amrohvi

dil mein jhanka to bahut zaKHm purane nikle

Raza Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1939
dil meñ jhāñkā to bahut zaḳhm purāne nikle
ik fasāne se ka.ī aur fasāne nikle
ḳhvāb to ḳhvāb the ā.ankhoñ meñ kahāñ ruk jaate
vo dabe paañv unheñ bhī to churāne nikle
dekhnā ye hai Thahartā hai kahāñ josh-e-junūñ
sar-phire shahr-e-nigārāñ ko jalāne nikle
apne ghar sañg-e-malāmat kī huī hai bārish
be-gunāhī kī sanad ham jo dikhāne nikle
kārobār-e-rasan-o-dār kī tash.hīr huī
sarfaroshī ke yahāñ kitne bahāne nikle
jin kitāboñ pe salīqe se jamī vaqt kī gard
un kitāboñ hī meñ yādoñ ke ḳhazāne nikle
vo sitam-kesh bahr-e-hāl sitam-kesh rahe
dard soyā bhī nahīñ thā ki jagāne nikle
har taraf shahr meñ vīrānī kā aalam hai 'razā'
zindagī kaun kahāñ tujh ko sajāne nikle
Top Urdushayar.com