Afroz Rizvi

sahil se uTha hai na samundar se uTha hai

Afroz Rizvi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1969

sāhil se uThā hai na samundar se uThā hai

jo shor mirī zaat ke andar se uThā hai

dariyā-e-mohabbat ke kināre kabhī koī

Duubā hai jo ik baar muqaddar se uThā hai

vo aa.e to is ḳhvāb ko ta.abīr milegī

jo ḳhvāb-e-jazīra mire sāgar se uThā hai

maiñ apne rag-o-pai meñ use DhūñD rahī huuñ

jo shaḳhs abhī mere barābar se uThā hai

raqsāñ hai mirī aañkh meñ ehsās mānind

manzar jo tirī aañkh ke manzar se uThā hai

phūloñ ko tire rañg ne baḳhshī hai kahānī

ḳhushbū fasāna tire paikar se uThā hai

is shahr-e-mohabbat meñ vo ruktā nahīñ hai

jo shor tire pyaar ke mehvar se uThā hai

ye us ravayya ye anā ye lab-o-lahja

in sab ke sabab amn-o-sukūñ ghar se uThā hai

mehr-o-mah-o-anjum meñ use DhūñDne vaalo

ye saarā jahāñ ḳhaak ke paikar se uThā hai

rahtā hai mirī aañkh meñ kājal tarah se

jo duur tamannāoñ ke tevar se uThā hai

maiñ dar se tire uTh ke isī soch meñ gum huuñ

kyā koī ḳhushī se bhī tire dar se uThā hai

jo us nazar se kabhī 'afroz' uThā thā

is baar vo mahshar mire andar se uThā hai

Top Urdushayar.com