Afroz Rizvi

diwar ke hue to kabhi dar ke ho gae

Afroz Rizvi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1969
dīvār ke hue to kabhī dar ke ho ga.e
mere charāġh bād-e-sitamgar ke ho ga.e
maiñ is tarah se kūcha-e-vahshat kī ho ga.ī
mallāh jis tarah se samundar ke ho ga.e
us ke dil-o-nigāh kā kis se kareñ gila
us ke dil-o-nigāh to patthar ke ho ga.e
jo mujh ko chāhte the kabhī sar se paañv tak
dushman na jaane kyuuñ vo mire sar ke ho ga.e
jo tere pairahan kī mahak le ke aa.ī thī
ham to usī havā-e-mo.attar ke ho ga.e
maiñ terī ḳhushbūoñ kī talabgār jab huī
tere chaman ke phuul bhī patthar ke ho ga.e
ye kaisī gardisheñ haiñ ki arz-o-samā pe aaj
shams-o-qamar charāġh barābar ke ho ga.e
ḳheme jale charāġh bujhe aur is ke ba.ad
nezoñ pe sar-buland bahattar ke ho ga.e
bārish ko bādaloñ ko samundar ko chhoḌ kar
'afroz' ham to sāqī-e-kausar ke ho ga.e
Top Urdushayar.com