guzar  gayā  intizār  had  se  ye  vāda-e-nā-tamām  kab  tak
na  marne  degī  mujhe  sitamgar  tirī  tamannā-e-ḳhām  kab  tak
ajal  mirā  itnā  kaam  kar  de  ki  kaam  merā  tamām  kar  de
rahe  koī  zindagī  ke  hāthoñ  jahāñ  meñ  rusvā-e-ām  kab  tak
vo  aa.e  yā  vaade  par  na  aa.e  balā  se  qismat  jo  kuchh  dikhā  de
magar  hameñ  dekhnā  to  ye  hai  ki  aaj  hotī  hai  shaam  kab  tak
ye  bahas  o  takrār  chhoḌ  de  aa  ye  zohd  kā  ahd  toḌ  de
rahegī  ai  mudda.ī-e-hurmat  sharāb-e-duniyā  harām  kab  tak