tākīd  hai  ki  dīda-e-dil  vā  kare  koī
matlab  ye  hai  ki  duur  se  dekhā  kare  koī
aate  hī  tere  vāda-e-fardā  kā  e'tibār
ghabrā  ke  mar  na  jaa.e  to  phir  kyā  kare  koī
vo  jalva  be-hijāb  sahī  zid  kā  kyā  ilaaj
jab  dil  meñ  rah  ke  aañkh  se  parda  kare  koī
kahte  haiñ  husn  hī  kī  amānat  hai  dard-e-ishq
ab  kyā  kisī  ke  ishq  kā  daavā  kare  koī
ḳhālī  hai  bazm-e-zauq-talab  ahl-e-hosh  se
itnā  nahīñ  ki  terī  tamannā  kare  koī
vo  dard  de  ki  maut  bhī  jis  kī  davā  na  ho
is  dil  ko  maut  de  jise  achchhā  kare  koī
'fānī'  duā-e-marg  kī  takrār  kyā  zarūr
ġhāfil  nahīñ  ki  un  se  taqāzā  kare  koī