mar  ke  TuuTā  hai  kahīñ  silsila-e-qaid-e-hayāt
magar  itnā  hai  ki  zanjīr  badal  jaatī  hai
asar-e-ishq  taġhāful  bhī  hai  bedād  bhī  hai
vahī  taqsīr  hai  tāzīr  badal  jaatī  hai
kahte  kahte  mirā  afsāna  gila  hotā  hai
dekhte  dekhte  taqdīr  badal  jaatī  hai
roz  hai  dard-e-mohabbat  kā  nirālā  andāz
roz  dil  meñ  tirī  tasvīr  badal  jaatī  hai
ghar  meñ  rahtā  hai  tire  dam  se  ujālā  hī  kuchh  aur
mah  o  ḳhurshīd  kī  tanvīr  badal  jaatī  hai
ġham  nasīboñ  meñ  hai  'fānī'  ġham-e-duniyā  ho  ki  ishq
dil  kī  taqdīr  se  tadbīr  badal  jaatī  hai