vo  jī  gayā  jo  ishq  meñ  jī  se  guzar  gayā
iisā  ko  ho  naved  ki  bīmār  mar  gayā
āzād  kuchh  hue  haiñ  asīrān-e-zindagī
yaanī  jamāl-e-yār  kā  sadqa  utar  gayā
duniyā  meñ  hāl-e-āmad-o-raft-e-bashar  na  pūchh
be-iḳhtiyār  aa  ke  rahā  be-ḳhabar  gayā
shāyad  ki  shām-e-hijr  ke  maare  bhī  jī  uTheñ
sub.h-e-bahār-e-hashr  kā  chehrā  utar  gayā
aayā  ki  dil  gayā  koī  pūchhe  to  kyā  kahūñ
ye  jāntā  huuñ  dil  idhar  aayā  udhar  gayā
haañ  sach  to  hai  shikāyat-e-zaḳhm-e-jigar  ġhalat
dil  se  guzar  ke  tiir  tumhārā  kidhar  gayā
dil  kā  ilaaj  kījiye  ab  yā  na  kījiye
apnā  jo  kaam  thā  vo  ġham-e-yār  kar  gayā
kyā  kahiye  apnī  garam-ravī-hā-e-shauq  ko
kuchh  duur  mere  saath  mirā  rāhbar  gayā
'fānī'  kī  zaat  se  ġham-e-hastī  kī  thī  numūd
shīrāza  aaj  daftar-e-ġham  kā  bikhar  gayā