Qamar Jalalvi

haTi zulf un ke chehre se magar aahista aahista

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968

haTī zulf un ke chehre se magar āhista āhista

ayaañ sūraj huā vaqt-e-sahar āhista āhista

chaTak kar sadā ġhunche ne shāḳh-e-gul jumbish par

ye gulshan hai zarā bād-e-sahar āhista āhista

qafas meñ dekh kar baazū asiir aapas meñ kahte haiñ

bahār-e-gul tak aa jā.eñge par āhista āhista

koī chhup jā.egā bīmār-e-shām-e-hijr marnā

pahuñch jā.egī un tak bhī ḳhabar āhista āhista

ġham-e-tabdīlī-e-gulshan kahāñ tak phir ye gulshan hai

qafas bhī ho to ban jaatā hai ghar āhista āhista

hamāre bāġhbāñ ne kah diyā gulchīñ ke shikve par

na.e ashjār bhī deñge samar āhista āhista

ilāhī kaun vaqt aa gayā bīmār-e-furqat par

ki uTh kar chal diye sab chāra-gar āhista āhista

na jaane kyuuñ na aayā varna ab tak kab aa jaatā

agar chaltā vahāñ se nāma-bar āhista āhista

ḳhafā bhī haiñ irāda bhī hai shāyad baat karne

vo chal nikle haiñ mujh ko dekh kar āhista āhista

javānī aa ga.ī dil chhedne baḌh ga.iiñ mashqeñ

chalānā aa gayā tīr-e-nazar āhista āhista

jise ab dekh kar ik jaan paḌtī hai mohabbat meñ

yahī ban jā.egī qātil nazar āhista āhista

abhī tak yaad hai kal shab-e-ġham aur tanhā.ī

phir is par chāñd Dhalnā 'qamar' āhista āhista

Top Urdushayar.com