Qamar Jalalvi

tauba kije ab fareb-e-dosti khaenge kya

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968

tauba kiije ab fareb-e-dostī khā.eñge kyā

aaj tak pachhtā rahe haiñ aur pachhtā.eñge kyā

ḳhud samajhiye zab.h hone vaale samjhā.eñge kyā

baat pahuñchegī kahāñ tak aap kahlā.eñge kyā

bazm-e-kasrat meñ ye kyuuñ hotā hai un intizār

parda-e-vahdat se vo bāhar nikal ā.eñge kyā

kal bahār aa.egī ye sun kar qafas badlo na tum

raat bhar meñ qaidiyoñ ke par nikal ā.eñge kyā

ai dil-e-muztar inhīñ bātoñ se chhūTā thā chaman

ab tire naale qafas se bhī nikalvā.eñge kyā

ai qafas vaalo rihā.ī tamannā hai fuzūl

fasl-e-gul aane se pahle par na kaT jā.eñge kyā

shām-e-ġham jal jal ke misl-e-sham.a ho jā.ūñgā ḳhatm

sub.h ko ahbāb ā.eñge to dafnā.eñge kyā

jāntā huuñ phūñk degā mere ghar ko bāġhbāñ

āshiyāñ ke paas vaale phuul rah jā.eñge kyā

un mahfil meñ chalā aayā hai dushman ḳhair ho

misl-e-ādam ham bhī jannat se nikal jā.eñge kyā

nāḳhudā maujoñ meñ kashtī hai to ho ham ko na dekh

jin ko tūfānoñ ne paalā hai vo ghabrā.eñge kyā

ne tūfāñ dekhte kyuuñ nigāheñ pher liiñ

nāḳhudā ye ahl-e-kashtī Duub jā.eñge kyā

kyuuñ ye bairūn-e-chaman jalte hue tinke ga.e

mere ghar aag duniyā bhar meñ phailā.eñge kyā

koī to mūnis rahegā ai 'qamar' shām-e-firāq

sham.a gul hogī to ye taare bhī chhup jā.eñge kyā

Top Urdushayar.com