Qamar Jalalvi

kabhi kaha na kisi se tere fasane ko

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968

kabhī kahā na kisī se tire fasāne ko

na jaane kaise ḳhabar ho ga.ī zamāne ko

duā bahār māñgī to itne phuul khile

kahīñ jagah na rahī mere āshiyāne ko

mirī lahad pe patañgoñ ḳhuun hotā hai

huzūr sham.a na laayā kareñ jalāne ko

sunā hai ġhair mahfil meñ tum na jāoge

kaho to aaj sajā luuñ ġharīb-ḳhāne ko

dabā ke qabr meñ sab chal diye duā na salām

zarā der meñ kyā ho gayā zamāne ko

ab aage is meñ tumhārā bhī naam aa.egā

jo hukm ho to yahīñ chhoḌ duuñ fasāne ko

'qamar' zarā bhī nahīñ tum ko ḳhauf-e-rusvā.ī

chale ho chāñdnī shab meñ unheñ bulāne ko

Top Urdushayar.com