Qamar Jalalvi

barish mein ahd toD ke gar mai-kashi hui

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
bārish meñ ahd toḌ ke gar mai-kashī huī
tauba marī phiregī kahāñ bhīgtī huī
pesh aa.e laakh rañj agar ik ḳhushī huī
parvardigār ye bhī koī zindagī huī
achchhā to donoñ vaqt mile kosiye huzūr
phir bhī marīz-e-ġham kī agar zindagī huī
ai andalīb apne nasheman kī ḳhair maañg
bijlī ga.ī hai sū-e-chaman dekhtī huī
dekho charāġh-e-qabr use kyā javāb de
aa.egī shām-e-hijr mujhe pūchhtī huī
qāsid unhīñ ko jā ke diyā thā hamārā ḳhat
vo mil ga.e the un se koī baat bhī huii?
jab tak ki terī bazm meñ chaltā rahegā jaam
saaqī rahegī gardish-e-daurāñ rukī huī
maanā ki un se raat kā va.ada hai ai 'qamar'
kaise vo aa sakeñge agar chāñdnī huī
Top Urdushayar.com