ab  kaise  rafū  pairāhan  ho  is  āvāra  dīvāne  kā
kyā  jaane  garebāñ  hogā  kahāñ  dāman  se  baḌā  vīrāne  kā
vaa.iz  na  sunegā  saaqī  kī  lālach  hai  use  paimāne  kā
mujh  se  hoñ  agar  aisī  bāteñ  maiñ  naam  na  luuñ  maiḳhāne  kā
kyā  jaane  kahegā  kyā  aa  kar  hai  daur  yahāñ  paimāne  kā
allāh  kare  vaa.iz  ko  kabhī  rasta  na  mile  maiḳhāne  kā
turbat  se  lagā  kartā  mahshar  sunte  haiñ  koī  miltā  hī  nahīñ
manzil  hai  baḌī  ābādī  kī  rasta  hai  baḌā  vīrāne  kā
jannat  meñ  piyegā  kyūñkar  ai  shaiḳh  yahāñ  gar  mashq  na  kī
ab  maane  na  maane  terī  ḳhushī  hai  kaam  mirā  samjhāne  kā
jī  chāhā  jahāñ  par  ro  diyā  hai  paañv  meñ  chubhe  aur  TuuT  ga.e
ḳhāroñ  ne  bhī  dil  meñ  soch  liyā  hai  kaun  yahāñ  dīvāne  kā
haiñ  tañg  tirī  mai-kash  saaqī  ye  paḌh  ke  namāz  aatā  hai  yahīñ
yā  shaiḳh  kī  tauba  tuḌvā  de  yā  vaqt  badal  maiḳhāne  kā
har  sub.h  ko  aah  sar  se  dil-e-shādāb  jarāhat  rahtā  hai
gar  yuuñ  hī  rahegī  bād-e-sahar  ye  phuul  nahīñ  murjhāne  kā
bahke  hue  vaa.iz  se  mil  kar  kyuuñ  baiThe  hue  ho  mai-ḳhvāro
gar  toḌ  de  ye  sab  jām-o-subū  kyā  kar  loge  dīvāne  kā
ahbāb  ye  tum  kahte  ho  bajā  vo  bazm-e-adū  meñ  baiThe  haiñ
vo  aa.eñ  na  aa.eñ  un  kī  ḳhushī  charchā  to  karo  mar  jaane  kā
us  vaqt  khulegā  his  ko  bhī  ehsās-e-mohabbat  hai  ki  nahīñ
jab  sham.a  sar-e-mahfil  ro  kar  muñh  dekhegī  parvāne  kā
bādal  ke  añdhere  meñ  chhup  kar  maiḳhāne  meñ  aa  baiThā  hai
gar  chāñdnī  ho  jā.egī  'qamar'  ye  shaiḳh  nahīñ  phir  jaane  kā