sañg-e-dar  dekh  ke  sar  yaad  aayā
koī  dīvāna  magar  yaad  aayā
phir  vo  andāz-e-nazar  yaad  aayā
chāk-e-dil  tā-ba  jigar  yaad  aayā
zauq-e-arbāb-e-nazar  yaad  aayā
sajda  be-minnat-e-sar  yaad  aayā
har  tabassum  pe  ye  khātā  huuñ  fareb
ki  unheñ  dīda-e-tar  yaad  aayā
phir  tirā  naqsh-e-qadam  hai  darkār
sajda-e-rāhguzar  yaad  aayā
jamā  kartā  huuñ  ġhubār-e-rah-e-dost
sar-e-shorīda  magar  yaad  aayā
haa.e  vo  mārka-e-nāvak-e-nāz
dil  bachāyā  to  jigar  yaad  aayā
ā.īna  ab  nahīñ  dekhā  jaatā
maiñ  ba-unvān-e-digar  yaad  aayā
dard  ko  phir  hai  mire  dil  kī  talāsh
ḳhāna-barbād  ko  ghar  yaad  aayā
us  ko  bhūle  to  hue  ho  'fānī'
kyā  karoge  vo  agar  yaad  aayā