ye  kis  qayāmat  kī  bekasī  hai  zamīñ  hī  apnā  na  yaar  merā
na  ḳhātir-e-be-qarār  merī  na  dīda-e-ashk-bār  merā
nishān-e-turbat  ayaañ  nahīñ  hai  nahīñ  ki  baaqī  nishāñ  nahīñ  hai
mazār  merā  kahāñ  nahīñ  hai  kahīñ  nahīñ  hai  mazār  merā
visāl  terā  ḳhayāl  terā  jo  ho  to  kyūñkar  na  ho  to  kyūñkar
na  tujh  pe  kuchh  iḳhtiyār  dil  kā  na  dil  pe  kuchh  iḳhtiyār  merā
nigāh-e-dil-doz  kī  duhā.ī  jamāl-e-jāñ-soz  kī  duhā.ī
rah-e-mohabbat  meñ  ġham  ne  luuTā  shakeb  o  sabr  o  qarār  merā
maiñ  dard-e-furqat  se  jāñ-ba-lab  huuñ  tumheñ  yaqīn-e-vafā  nahīñ  hai
mujhe  nahīñ  e'tibār  apnā  tumheñ  nahīñ  e'tibār  merā
qadam  nikāl  ab  to  ghar  se  bāhar  jo  dam  bhī  siine  se  sahl  nikle
dikhā  na  ab  intizār  apnā  lahad  ko  hai  intizār  merā
sunā  hai  uTThā  hai  ik  bagūla  jilau  meñ  kuchh  āñdhiyoñ  ko  le  kar
tavāf-e-dast-e-junūñ  ko  shāyad  gayā  hai  'fānī'  ġhubār  merā