Qamar Jalalvi

ye roz hashr ka aur shikwa-e-wafa ke liye

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968

ye roz hashr aur shikva-e-vafā ke liye

ḳhudā ke sāmne to chup raho ḳhudā ke liye

ilāhī vaqt badal de mirī qazā ke liye

jo koste the vo baiThe haiñ ab duā ke liye

bhañvar se naav bache tere bas baat nahīñ

ḳhudā pe chhoḌ de ai nāḳhudā ḳhudā ke liye

hamāre vāste marnā to koī baat nahīñ

magar tumheñ na milegā koī vafā ke liye

hazār baar mile vo magar nasīb baat

kabhī zabāñ na khulī arz-e-mudda.ā ke liye

koī zarūr hai dīdār-e-āḳhirī meñ naqāb

hazār vaqt paḌe haiñ tirī hayā ke liye

mujhe miTā to rahe ho ma.aal bhī socho

ḳhatā muaaf taras jāoge vafā ke liye

vo jaan kar mujhe tanhā mirī nahīñ sunte

kahāñ se lā.ūñ zamāne ko iltijā ke liye

mire jale hue tinkoñ garmiyāñ tauba

khulā huā hai garebān-e-gul havā ke liye

marīz kitnā thā ḳhuddār jaan tak de

magar zabāñ na khulī arz-e-mudda.ā ke liye

vo ibtidā-e-mohabbat vo ehtiyāt-e-kalām

banā.e jaate the alfāz iltijā ke liye

zarā marīz-e-mohabbat ko tum bhī dekh aao

ki man.a karte haiñ ab chāragar davā ke liye

'qamar' nahīñ hai vafādār ḳhair yūñhī sahī

huzūr aur koī DhūñDh leñ vafā ke liye

Top Urdushayar.com