rāz-e-dil  kyuuñ  na  kahūñ  sāmne  dīvānoñ  ke
ye  to  vo  log  haiñ  apnoñ  ke  na  begānoñ  ke
vo  bhī  kyā  daur  the  saaqī  tire  mastānoñ  ke
rāste  raah  takā  karte  the  mai-ḳhānoñ  ke
bādaloñ  par  ye  ishāre  tire  dīvānoñ  ke
TukḌe  pahuñche  haiñ  kahāñ  uḌ  ke  garebānoñ  ke
rāste  band  kiye  dete  ho  dīvānoñ  ke
Dher  lag  jā.eñge  bastī  meñ  garebānoñ  ke
na  azaañ  detā  na  hushiyār  barahman  hotā
dar  to  us  shaiḳh  ne  khulvā.e  haiñ  but-ḳhānoñ  ke
aap  din-rāt  sañvārā  kareñ  gesū  to  kyā
kahīñ  hālāt  badalte  haiñ  pareshānoñ  ke
man.a  kar  girya-e-shabnam  pe  na  ye  phuul  hañseñ
laale  paḌ  jā.eñge  ai  bād-e-sabā  jānoñ  ke
kyā  zamāna  thā  udhar  shaam  idhar  haath  meñ  jaam
sub.h  tak  daur  chalā  karte  the  paimānoñ  ke
vo  bhī  kyā  din  the  udhar  shaam  idhar  haath  meñ  jaam
ab  to  raste  bhī  rahe  yaad  na  mai-ḳhānoñ  ke
aaj  tak  to  mirī  kashtī  ne  na  paa.ī  manzil
qāfile  saiñkaḌoñ  gum  ho  ga.e  tūfānoñ  ke
ḳhāk-e-sahrā  pe  lakīreñ  haiñ  unheñ  phir  dekho
kahīñ  ye  ḳhat  na  hoñ  likkhe  hue  dīvānoñ  ke
dekhiye  charḳh  pe  taare  bhī  haiñ  kyā  be-tartīb
jaise  bikhre  hue  TukḌe  mire  paimānoñ  ke
haath  ḳhālī  haiñ  magar  mulk-e-adam  kā  hai  safar
hausle  dekhiye  un  be-sar-o-sāmānoñ  ke
sar  jhukā.e  hue  baiThe  haiñ  jo  ka.abe  meñ  'qamar'
aise  hote  haiñ  nikāle  hue  but-ḳhānoñ  ke