Farhat Qadri

koi dhaDkan koi uljhan koi bandhan mange

Farhat Qadri

Patna, Bihar, India

1928
koī dhaḌkan koī uljhan koī bandhan māñge
har-nafas apnī kahānī meñ nayā-pan māñge
dasht-e-afkār meñ ham se na.e mausam kā mizāj
bijliyāñ tinkoñ kī sho.aloñ kā nasheman māñge
rāt-bhar galiyoñ meñ yaḳh-basta havāoñ kī sadā
kisī khiḌkī kī sulagtī huī chilman māñge
zahr sannāTe kā kab tak piye sahrā-e-sukūt
ret kā zarra bhī āvāz kī dhaḌkan māñge
kaalī rātoñ ke jahannam meñ badan suukh gayā
dāman-e-sub.h kī ThanDak koī birhan māñge
habs vo hai ki nazāroñ kā bhī dam ghuTtā hai
koī soñdhī sī mahak ab mirā āñgan māñge
zindagī jin ke tasādum se hai zaḳhmī 'farhat'
dil unhīñ TuuTe hue sapnoñ kā darpan māñge
Top Urdushayar.com