Manzar Naqvi

ek ariza hai dil-e-mushtaq mein rakkha hua

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955

ik arīza hai dil-e-mushtāq meñ rakkhā huā

āftāb-e-ishq hai āfāq meñ rakkhā huā

zindagī zā.iqa mujh ko tavātur se milā

zahr meñ rakhā huā tiryāq meñ rakkhā huā

nafratoñ ke sab navishte us ne azbar kar liye

hai mohabbat sahīfa taaq meñ rakhā huā

balva-e-bātil meñ haq ḳhāmushī saath do

ye bhī nukta hai mire mīsāq meñ rakkhā huā

raakh uḌtī dekh kar mujh se gurezāñ kyoñ hue

ek sho.ala hai abhī chaqmāq meñ rakkhā huā

maiñ ne dekhā merā qātil mubtalā-e-ḳhauf hai

sar mirā thā jis ghaḌī itbāq meñ rakkhā huā

lau na maddham hogī 'manzar' bujh na pā.egā kabhī

ye diyā hai sīna-e-ushshāq meñ rakkhā huā

Top Urdushayar.com