Manzar Naqvi

jab teri yaad ke rangon se bana li humne

Manzar Naqvi

Islamabad, Pakistan

1955
jab tirī yaad ke rañgoñ se banā lī ham ne
dil kī dīvār pe tasvīr sajā lī ham ne
us ke asbāb se niklā hai pareshāñ kāġhaz
baat itnī thī magar ḳhuub uchhālī ham ne
tum se milne ko sitāroñ meñ bhī halchal dekhī
muddatoñ ba.ad koī faal nikālī ham ne
yūñhī auroñ ke liye laḌne chale aa.e ho
kab koī baat tumhārī thī jo Taalī ham ne
ab jo gulshan meñ ḳhizāoñ kī amal-dārī hai
fasl-e-gul kī kabhī buniyād na Daalī ham ne
ka.ī aañsū mirī ā.ankhoñ meñ hī tahlīl hue
dil meñ aa.e to phir ik yaad manā lī ham ne
Top Urdushayar.com