kabhī  sūrat  jo  mujhe  aa  ke  dikhā  jaate  ho
din  mirī  ziist  ke  kuchh  aur  baḌhā  jaate  ho
ik  jhalak  tum  jo  lab-e-bām  dikhā  jaate  ho
dil  pe  ik  kauñdtī  bijlī  sī  girā  jaate  ho
mere  pahlū  meñ  tum  aao  ye  kahāñ  mere  nasīb
ye  bhī  kyā  kam  hai  tasavvur  meñ  to  aa  jaate  ho
taaza  kar  jaate  ho  tum  dil  meñ  purānī  yādeñ
ḳhvāb-e-shīrīñ  se  tamannā  ko  jagā  jaate  ho
itnī  ham  ko  bhī  dikhāte  ho  masīhā-nafasī
hasrat-e-murda  ko  aa  aa  ke  jilā  jaate  ho
nigah-e-lutf  meñ  jaadū  hai  tumhārī  jānāñ
saare  shikve-gile  ik  pal  meñ  bhulā  jaate  ho
shola-e-tūr  se  tū  vādi-e-aiman  hī  jalā
tum  jahāñ  aate  ho  ik  aag  lagā  jaate  ho
hai  to  'nairañg'  vahī  ishq  kā  ronā-dhonā
inhī  bātoñ  meñ  nayā  rañg  dikhā  jaate  ho