kaT  ga.ī  be-mudda.ā  saarī  kī  saarī  zindagī
zindagī  sī  zindagī  hai  ye  hamārī  zindagī
kyā  irādoñ  se  hai  hāsil?  tāqat-o-fursat  kahāñ
haa.e  kahlātī  hai  kyuuñ  be-aḳhtyārī  zindagī
ai  sar-e-shorīda  ab  tere  vo  saudā  kyā  hue!
kyā  sadā  se  thī  yahī  ġhaflat-shi.ārī  zindagī
dard  ulfat  kā  na  ho  to  zindagī  kā  kyā  mazā
āh-o-zārī  zindagī  hai  be-qarārī  zindagī
ārzū-e-zīst  bhī  yaañ  yaañ  ārzū-e-dīd  hai
tū  na  pyārā  ho  to  mujh  ko  ho  na  pyārī  zindagī
aur  murjhā.egī  terī  chheḌ  se  dil  kī  kalī
kar  na  dūbhar  mujh  pe  ai  bād-e-bahārī  zindagī
yaañ  to  ai  'nairañg'  donoñ  ke  liye  sāmāñ  nahīñ
maut  bhī  mujh  par  girāñ  hai  gar  hai  bhārī  zindagī