kahte  haiñ  iid  hai  aaj  apnī  bhī  iid  hotī
ham  ko  agar  mayassar  jānāñ  kī  diid  hotī
qīmat  meñ  dīd-e-ruḳh  kī  ham  naqd-e-jāñ  lagāte
bāzār-e-nāz  lagtā  dil  kī  ḳharīd  hotī
kuchh  apnī  baat  kahte  kuchh  merā  haal  sunet
nāz-o-niyāz  kī  yuuñ  guft-o-shunīd  hotī
jalve  dikhāte  jaate  vo  tarz-e-dilbarī  ke
aur  dil  meñ  yaañ  havā-e-nāz-e-mazīd  hotī
teġh-e-nazar  se  dil  par  vo  vaar  karte  jaate
aur  lab  pe  yaañ  sadā-e-hal-mim-mazīd  hotī
abrū  se  un  ke  ġhamza  tīr-e-adā  lagātā
ye  dil  qatīl  hotā  ye  jaañ  shahīd  hotī
kuchh  hausla  baḌhātā  andāz-e-lutf-e-jānāñ
kuchh  daġhdaġha  sā  hotā  kuchh  kuchh  umiid  hotī