mire  pahlū  se  jo  nikle  vo  mirī  jaañ  ho  kar
rah  gayā  shauq  dil-e-zār  meñ  armāñ  ho  kar
ziist  do  roza  hai  hañs-khel  ke  kaaTo  is  ko
gul  ne  ye  raaz  batāyā  mujhe  ḳhandāñ  ho  kar
ashk-e-shādī  hai  ye  kuchh  muzhda  sabā  laa.ī  hai
shabnam-ālūda  huā  phuul  jo  ḳhandāñ  ho  kar
zarra-e-vādi-e-ulfat  pe  munāsib  hai  nigāh
falak-e-husn  pe  ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ  ho  kar
shoḳhiyāñ  us  nigah-e-zer-e-mizha  kī  mat  pūchh
dil-e-āshiq  meñ  khubī  jaatī  hai  paikāñ  ho  kar
shiddat-e-shauq-e-shahādat  kā  kahūñ  kyā  aalam
teġh-e-qātil  paḌī  sar  pe  mire  ehsāñ  ho  kar
ab  to  vo  ḳhabt  mire  ishq  ko  kah  kar  dekheñ
ḳhud  hī  ā.īne  ko  takne  lage  hairāñ  ho  kar