Ghulam Bhik Nairang

kis tarah waqif hon haal-e-ashiq-e-jaan-baz se

Ghulam Bhik Nairang

Ambala, Haryana, India

1876-1952
kis tarah vāqif hoñ hāl-e-āshiq-e-jāñ-bāz se
un ko fursat hī nahīñ hai kārobār-e-nāz se
mere dard-e-dil se goyā āshnā haiñ chob-o-tār
apne naale sun rahā huuñ parda-hā-e-sāz se
zarra zarra hai yahāñ ik katba-e-sirr-alast
aap hī vāqif nahīñ haiñ rasm-e-ḳhatt-e-rāz se
dil ga.e īmāñ ga.e aqleñ ga.iiñ jāneñ ga.iiñ
tum ne kyā kyā kar dikhāyā ik nigāh-e-nāz se
aah! kal tak vo navāzish! aaj itnī be-ruḳhī
kuchh to nisbat chāhiye anjām ko āġhāz se
Top Urdushayar.com