tirā  mai-ḳhvār  ḳhush-āġhāz-o-ḳhush-anjām  hai  saaqī
ki  dil  meñ  yaad  terī  lab  pe  terā  naam  hai  saaqī
muhīt  daur-e-sāġhar  charḳh-e-nīlī-fām  hai  saaqī
ġhulām-e-chashm-e-maigūñ  gardish-e-ayyām  hai  saaqī
dil-e-nākām  ko  ulfat  se  terī  kaam  hai  saaqī
mohabbat  be-niyāz-e-ibrat-e-anjām  hai  saaqī
zamāne  se  alag  ho  kar  mujhe  duniyā-e-ulfat  meñ
tirā  ruḳh  roz-e-raushan  zulf  terī  shaam  hai  saaqī
isī  meñ  aa  ga.ī  hai  khiñch  ke  saaqī  ruuh  taqvā  kī
matā-e-dīn-o-īmāñ  qīmat-e-ik-jām  hai  saaqī
ḳhudā  rakkhe  tirī  zulf-e-mo.ambar  ke  tasavvur  se
taḳhayyul  merā  ambar-bīz-o-ambar-fām  hai  saaqī
ḳhudārā  is  taraf  bhī  ik  nigāh-e-lutf  ho  jaa.e
mirī  hastī  hama  hasrat  hama  ālām  hai  saaqī
hue  haiñ  dil  pe  is  se  munkashif  asrār  hastī  ke
navā-e-qulqul-e-mīnā  mujhe  ilhām  hai  saaqī
sharaf  terī  ġhulāmī  kā  baḌī  mushkil  se  miltā  hai
zahe-qismat  jo  terā  banda-e-be-dām  hai  saaqī
azal  se  tā-abad  yūñhī  rahegā  ḳhāk-e-mai-ḳhāna
'ġhubār'-e-ḳhasta-o-nākām  jis  kā  naam  hai  saaqī