kyā  lutf  ki  vo  zulm  bhī  jaarī  nahīñ  rakhte
kyā  dost  haiñ  kuchh  laaj  hamārī  nahīñ  rakhte
ham  lipTe  hue  ghar  se  bhī  rahte  nahīñ  lekin
hijrat  kā  koī  ḳhauf  bhī  taarī  nahīñ  rakhte
e.ajāz-e-taḳhayyul  se  pahuñchte  haiñ  sar-e-arsh
ham  ahl-e-hunar  koī  savārī  nahīñ  rakhte
rahne  pe  nahīñ  tum  hī  jo  tayyār  to  jaao
ham  koī  nishānī  bhī  tumhārī  nahīñ  rakhte
ye  yaad  rahe  aan  pe  mar  miTte  haiñ  ham  log
mat  bhūlnā  ham  jaan  bhī  pyārī  nahīñ  rakhte
kyuuñ  bojh  paroñ  kā  liye  phirte  haiñ  na  jaane
'ayyāz'  parinde  jo  aTārī  nahīñ  rakhte