chhup-chhup  ke  tire  hijr  meñ  ronā  thā  hamārā
ye  haal  kisī  roz  to  honā  thā  hamārā
kar  baiThe  haiñ  chuur  us  ko  ye  bahte  hue  lamhe
dil  vaqt  ke  hāthoñ  meñ  khilaunā  thā  hamārā
mallāh  banā  thā  to  adā  farz  bhī  kartā
kyā  tū  ne  safīna  hī  Dubonā  thā  hamārā
phir  ye  ki  har  ik  samt  hī  ugne  lage  ḳhanjar
ik  qatra-e-ḳhūñ  dostoñ  baunā  thā  hamārā
us  ne  bhī  uThānā  thā  alam  zulm-o-sitam  kā
neze  meñ  jigar  us  ne  pironā  thā  hamārā
majbūri-e-hālāt  kī  sab  baat  hai  varna
pītal  ke  jo  bhaav  bikā  sonā  thā  hamārā
mīnār  se  kartā  thā  vo  paimā.isheñ  'ayyāz'
qad  itnā  to  lā-raib  na  baunā  thā  hamārā