ḳhushbū  kī  tarah  dil  ke  gulāboñ  meñ  rahegā
vo  chāñd  hamesha  mire  ḳhvāboñ  meñ  rahegā
bhīgī  huī  āñkhoñ  se  gale  mil  ke  bichhaḌnā
vo  shaḳhs  sadā  dil  ke  nisāboñ  meñ  rahegā
shāyad  maiñ  abhī  us  ke  jigar  tak  nahīñ  utrā
shāyad  vo  abhī  aur  naqāboñ  meñ  rahegā
sāñsoñ  kī  tarah  maiñ  terī  nas  nas  meñ  rahūñgā
kho  kar  tū  mujhe  ḳhud  bhī  azāboñ  meñ  rahegā
nashsha  to  tere  qurb  kā  hai  jān-e-tamannā
kyā  lutf  tire  ba.ad  sharāboñ  meñ  rahegā
haañ  pyaar  hai  haañ  pyaar  hai  suulī  pe  chaḌhā  do
iqrār  hai  iqrār  javāboñ  meñ  rahegā
phir  zard  ruteñ  dil  pe  utarne  lagīñ  'ayyāz'
dil  tab  hī  bachegā  jo  ḳharāboñ  meñ  rahegā