na  koī  ḳhvāb  kamāyā  na  aañkh  ḳhālī  huī
tumhāre  saath  hamārī  bhī  raat  kaalī  huī
ḳhudā  kā  shukr  adā  kar  vo  bevafā  niklā
ḳhushī  manā  ki  tirī  jaan  kī  bahālī  huī
zarā  se  ḳhvāb  bune  the  ki  saañs  phuul  ga.ī
qadam  dukāñ  pe  rakhā  thā  ki  jeb  ḳhālī  huī
vafā  ke  baare  meñ  logoñ  kī  raa.e  Thiik  nahīñ
briādrī  se  ye  ḳhātūn  hai  nikālī  huī
tumhī  to  sar  pe  biThā.e  hue  the  duniyā  ko
tumhī  pe  bhauñk  rahī  hai  tumhārī  paalī  huī
maiñ  kaise  dekhūñ  ravā-dāriyoñ  ko  miTte  hue
ye  dāġh-bel  hai  mere  baḌoñ  kī  Daalī  huī
jo  ahl-e-naqd-o-nazar  haiñ  idhar  bhī  ġhaur  kareñ
ki  ye  ġhazal  bhī  hai  tarkīb  se  nikālī  huī
ye  qāfiya  baḌī  diqqat  ke  saath  nazm  huā
baḌe  hunar  se  ye  aurat  mrs  'jamālī'  huī