koī  bhī  daar  se  zinda  nahīñ  utartā  hai
magar  junūn  hamārā  nahīñ  utartā  hai
tabāh  kar  diyā  ahbāb  ko  siyāsat  ne
magar  makān  se  jhanDā  nahīñ  utartā  hai
maiñ  apne  dil  ke  ujaḌne  kī  baat  kis  se  kahūñ
koī  mizāj  pe  puurā  nahīñ  utartā  hai
kabhī  qamīz  ke  aadhe  button  lagāte  the
aur  ab  badan  se  labāda  nahīñ  utartā  hai
musālahat  ke  bahut  rāste  haiñ  duniyā  meñ
magar  salīb  se  iisā  nahīñ  utartā  hai
juāriyoñ  kā  muqaddar  ḳharāb  hai  shāyad
jo  chāhiye  vahī  pattā  nahīñ  utartā  hai