isī  duniyā  ke  isī  daur  ke  haiñ
ham  to  dillī  meñ  bhī  bijnor  ke  haiñ
aap  in.aam  kisī  aur  ko  deñ
ham  namak-ḳhvār  kisī  aur  ke  haiñ
sarsarī  taur  se  mat  lo  ham  ko
ham  zarā  fikr  zarā  ġhaur  ke  haiñ
kuchh  tarīqe  bhī  purāne  haiñ  mire
kuchh  masā.il  bhī  na.e  daur  ke  haiñ
koī  ummīd  na  rakhnā  ham  se
ab  to  ham  yuuñ  bhī  kisī  aur  ke  haiñ