thoḌā  sā  māhaul  banānā  hotā  hai
varna  kisī  ke  saath  zamāna  hotā  hai
sachchā  sher  sunāne  vaale  ḳhatm  hue
ab  to  ḳhālī  khel  dikhānā  hotā  hai
aañsū  pahlī  shart  hai  is  samjhaute  kī
ġham  to  sāñsoñ  kā  jurmāna  hotā  hai
lāl-qile  kī  dīvāroñ  par  likhvā  do
dil  sab  se  mahfūz  Thikānā  hotā  hai
duniyā  meñ  bhar-mār  hai  naqlī  logoñ  kī
sau  meñ  koī  ek  divāna  hotā  hai
raat  hamāre  ghar  jaldī  aa  jaayā  kar
hameñ  savere  kaam  pe  jaanā  hotā  hai
aisī  koī  baat  nahīñ  māyūsī  kī
sach  meñ  thoḌā  sā  afsāna  hotā  hai
sab  kī  apnī  ek  ikaa.ī  hotī  hai
sab  kā  apnā  ek  zamāna  hotā  hai
ham  ne  to  un  ko  bhī  luTte  dekhā  hai
jin  ke  chār-qadam  par  thāna  hotā  hai
aaj  bichhaḌte  vaqt  mujhe  ma.alūm  huā
logoñ  meñ  ehsās  kā  ḳhāna  hotā  hai