kitne  aḳhbār-faroshoñ  ko  sahāfī  likkhā
nā-mukammal  ko  bhī  ḳhādim  ne  izāfī  likkhā
tū  ne  bhūle  se  na  samjhī  mire  jazbe  kī  kasak
maiñ  ne  barsoñ  tirī  āñkhoñ  ko  ġhilāfī  likkhā
haath  uThā  sakte  the  mere  bhī  baġhāvat  kā  alam
maiñ  ne  har  zulm  ke  ḳhāne  maiñ  muāfī  likkhā
ishq  kī  ḳhair  ho  allāh  ki  nā-shukroñ  ne
ik  adhūrī  sī  mulāqāt  ko  kaafī  likkhā
aap  duniyā  ko  samajhte  raheñ  sāmān-e-tarab
maiñ  ne  sāñsoñ  ko  gunāhoñ  kī  talāfī  likkhā
vo  hī  kartā  rahā  andar  se  malāmat  mujh  ko
maiñ  ne  jo  lafz  usūloñ  ke  munāfī  likkhā
bevaqūfoñ  ne  mirī  ābla-pā.ī  kā  ilaaj
hañsī  aatī  hai  ki  hamdard  kī  saafī  likkhā