kahānī  meñ  chhoTā  sā  kirdār  hai
hamārā  magar  ek  me.aar  hai
ḳhudā  tujh  ko  sunñe  kī  taufīq  de
mirī  ḳhāmushī  merā  iz.hār  hai
ye  kaise  ilāqe  meñ  ham  aa  base
gharoñ  se  nikalte  hī  bāzār  hai
siyāsat  ke  chehre  pe  raunaq  nahīñ
ye  aurat  hamesha  kī  bīmār  hai
haqīqat  kā  ik  shā.iba  tak  nahīñ
tumhārī  kahānī  mazedār  hai
ta.alluq  kī  taj.hīz-o-takfīn  kar
vo  dāman  chhuḌāne  ko  tayyār  hai
paḌosī  paḌosī  se  hai  be-ḳhabar
magar  sab  ke  hāthoñ  meñ  aḳhbār  hai
ye  chhuTTī  kā  din  ham  se  mat  chhīnnā
yahī  ham  ġharīboñ  kā  tyauhār  hai
use  mashvaroñ  kī  zarūrat  nahīñ
vo  tum  se  ziyāda  samajhdār  hai