ham  jise  samajhte  the  sa.ī-e-rā.egāñ  yaaro
ab  usī  se  milnā  hai  apnā  kuchh  nishāñ  yaaro
ruk  sake  to  mumkin  hai  naġhmagī  meñ  Dhal  jaa.e
uTh  rahī  hai  sīnoñ  meñ  shorish-e-fuġhāñ  yaaro
kyā  ḳhayāl  hai  tum  ko  kyā  malāl  hai  tum  ko
pūchhtā  koī  tum  se  kyuuñ  huuñ  sargirāñ  yaaro
barq  se  tasādum  kā  vaqt  aa  hī  jā.egā
DhūñDte  rahoge  tum  barq  se  amaañ  yaaro
sach  se  pyaar  karne  kā  hausla  nahīñ  hai  aur
maslahat  kī  rāhoñ  se  dil  hai  bad-gumāñ  yaaro
kuchh  surūr  to  hogā  koī  nuur  to  hogā
jis  se  zulmat-e-shab  meñ  dil  hai  naġhma-ḳhvāñ  yaaro
kam-sabāt  hotī  hai  tāzgī-o-ra.anā.ī
der  tak  nahīñ  rahtā  sub.h  kā  samāñ  yaaro