jab  bhī  sham-e-tarab  jalā.ī  hai
aañch  mahrūmiyoñ  kī  aa.ī  hai
rāste  itne  be-karāñ  to  na  the
justujū  kitnī  duur  laa.ī  hai
zahmat-e-justujū  se  kyā  hogā
bū-e-gul  kis  ke  haath  aa.ī  hai
kitnī  rañgīniyoñ  meñ  terī  yaad
kis  qadar  sādgī  se  aa.ī  hai
kah  ke  jān-e-ġhazal  tujhe  ham  ne
apnī  kam-mā.igī  chhupā.ī  hai
jab  bhī  'jāved'  chheḌ  dī  hai  ġhazal
baat  vāraftagī  tak  aa.ī  hai