abhī  makāñ  maiñ  abhī  sū-e-lā-makāñ  huuñ  maiñ
tire  ḳhayāl  tirī  dhun  meñ  huuñ  jahāñ  huuñ  maiñ
kalī  kalī  mutabassim  hai  ārzūoñ  kī
qadam  qadam  pe  mohabbat  meñ  kāmrāñ  huuñ  maiñ
navā  navā  meñ  mirī  zindagī  machaltī  hai
rabāb-e-husn-o-mohabbat  pe  naġhma-ḳhvāñ  huuñ  maiñ
mirā  tajassus-e-paiham  hai  zindagī-āmoz
mujhe  qarār  nahīñ  hai  ravāñ-davāñ  huuñ  maiñ
jahāñ  tamām  agar  mujh  se  sargirāñ  hai  to  kyā
ba-zāt-e-ḳhud  bhī  to  ik  mustaqil  jahāñ  huuñ  maiñ
fanā  kī  zad  se  hai  mahfūz  zindagī  merī
shi.ār  merā  mohabbat  hai  jāvedāñ  huuñ  maiñ